Copyright :-

© Renu Mishra, All Rights Reserved

शनिवार, 29 मई 2010

Aah Wo Bachpan...Ohh Yeh Bachpan..


Aaj ke daur me, hum apne bachhon ko kyun apne jaisa bachpan nahi dete,...kyun unka holiday homeworks karane ke picche lage rehte hain,kyun nahi unhe khuli hawa me saans lene ke liye nahi chhodte,Hum aisa kyun sochte hain ki....wo kucch nahi seekh payega, wo picche rah jaayega...

Are yaar..unko bhi masti se apna bachpan beetane do..phoolon ki tarah khilne do...geet naya gungunaane do...Akhir bade hokar to unhe bhi, hamare jaise chinta ki chakki me pisna hai...do joon ki roti kamani hai...

Apne bachpan ki masti ko hum kyun bhool jaate hain..."wo chhutiyon me nani - daadi ke ghar jaana, mauj - masti karna...khushi ki nadi me gote lagana"....Jab hame wo yaad hai to, apne bacchon ke bachpan ko kaise bhool jaate hain...unhe bhi to hume hi sikhana hai.

Isi baat pe apni ek Kavita likh rahi hoon....Asha karti hoon sabko pasand aayega...


"Woh apna bachpan tha, jaise koi pyara sa sapna.
Naa computer ki chik chik,naa television ka rona.

Kabhi asma se patange pakadte,
Kabhi naalon me apni nauka bahate,
Kabhi dekhti jo nahi thi, re Maiyya..
To khunte se bachhde- gaiyaa chhudate.

Baagon-bagiche me dopahri bitaate,
Kabhi pedon-shaakhon ke niche so jaate.
Kabhi dekhta jo nahi tha, re Maali...
To aamon ke pedon se amiya churaate.

Haaye! aasan kitna tha, jeena wo bachpan,
Wo alhad se saathi, wo masti sa chhutpan.
Naa jaane kahan kho gayi, wo pyaari si naani..
Jo sunaati hume thi, raaton se lambi kahani.

Ab kahaan hai wo bachpan, wo pyara sa sapna,
Ab kewal padhaai ki jhik-jhik, topper banane ka rona"

शुक्रवार, 21 मई 2010

Zindagi Se Do Chaar Baatien...



Kitne khushnaseeb hain wo, jo kisi ke pyaar ban ke jiye
apna to bas daaman jala, jab apne pyaar ke jale diye...

Kaise kisi ko milta hai koi, sab kuch apna samajhne wala
yahaan to milte hain, apne bhi, kai ajnabee chehre liye...

Apni aankhon me kai baar,maine sapno ko tut te dekha
par hothon par muskurahat hai,aankhon me nami liye...

Raaston ko bhi shaayad, mil jaati hain manzilien kabhi
apni manzil ka koi thikana nahi, kitne hi raaste kiye...

Ab muskuraake jeena sikh liya, ai zindagi maine tujhe
darr nahi tu mujhse roothe, hum to khul ke hans liye...:)

Ab nahi hai ghum humko, apne milne - bichhudne ka
zindagi se do chaar baatien, kar liye, phir chal diye...:-)